Tuesday, November 4, 2014

‪#‎RespectForHussain‬ ‪#‎Muharram‬ ‪#‎Islam‬

Bagh Jannat Kay Hain Lyrics

Bagh janat kay hain behr e madha khwan e Ahl e Bait
Tum ko mujda naar ka aie dushman’anain Ahl e Bait.
Unkay ghar to bay ijazat Jibrail aatay nain
Qadr walay jantay hain qadr o shaan e Ahl e Bait .
Unki paki ka Khuda e Pak karta hai bayaan
Ayah e tat’heer say zahir hai shaan e Ahl e Bait.
Ghar lutana jaan dena koi tujsay sekh jaye
Jaan e alam houn fida aie kha’ndanain Ahl e Bait.
Ahl e Bait e Pak say gustakhiyan bay bakiyan
La’natullahi alaikum dushmananain Ahl e Bait.
Bay adab gustaakh firqay ko suna day aie Hassan
Youn kahan kartay hain aashiq dastaan e Ahl e Bait.

No comments:

Post a Comment

Total Pageviews