Tuesday, November 4, 2014

¤ NIYAZ E IMAM HUSSAIN رضي الله تعالى عنه

¤ NIYAZ E IMAM HUSSAIN رضي الله تعالى عنه
BARA E ESALE SAWAAB ¤
Imam Alama Tahtawi farmate hai:
" Ahle sunnat ke nazdeek yeh jaiz hai ki koi insaan apne amal ka sawab kisi gair ko phochaye khwa woh amal namaz ho ya roza ya hajj ya sadka wa kahirat ho ya tilawat e quran ya zikr ya uske alawa nek amaal mein se koi bhi amal ho. Aur un amaal ka sawab marhoom ko phochta hai aur use fayda bhi deta hai. [¤ HASHIYA AL TAHTAWI ALA MARAQI AL FALAH:376]
▶ KHANE YA PEENE KI CHEEZ (JAISE SHARBAT WAGAIRA) KA ESALE SAWAB KARNA JAIZ HAI.
¤ HADEES :
" Hazrat Saad Bin Ubada رضي الله تعالى عنهbayan karte hai ki unhone kaha Ya Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ! Saad ki walida faut ho gayi. Pas kis cheez ka sadqa karna sabse afzal hai? Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya PAANI KA. Unhone kuwa khudwaya aur kaha yeh (kuwa) Saad ki maa ke liye hai.
[¤ SUNAN ABU DAWOOD, KITAB UL ZAKAT, JILD1]
▶ ESALE SAWAB SAHIH HADEES SE SABIT HAI?
¤ HADEES :
"Hazrat Aisha رضي الله عنها bayan farmati hai ki , Ek shaks ne Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ se arz kiya ki meri Maa achanak faut (inteqaal) ho gayi aur mera gumaan hai ki agar woh kuch baat kar sakti to sadqa karti. Agar mein un ki taraf se kuch sadqa kar du to kya unko Ajr (sawab) milega? Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِne farmaya , HAAN!."
[¤ SAHIH BUKHARI, KITABUL JANAIZ,JILD1;
¤ SAHIH MUSLIM, KITAB UL ZAKAT;
¤ SUNAN ABU DAWOOD, KITAB UL WASAYA;
¤ SUNAN NASAI, KITAB UL WASAYA]


¤ HADEES
" Hazrat Anas رضي الله تعالى عنه se marwi ek Hadees mein Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya: Jab Ahle khana (ghar walo) mein koi apne faut shuda azeez ke liye sadqa wa khairaat kar ke Esale Sawab (Fatiha) karta hai to us ke sawab ka tohfa Hazrat Jibraeil (alayhissalaam) ek khoobsurat thaal mein rakh kar us Qabr wale ke sirhaane ja kar pesh karte hai ki tere fala'a Azeez ne ye sawab ka tohfa bheja hai. Tu isse Qubool kar. Woh shaks use qubool kar leta hai. Woh us par khush hota hai aur dusre Qabr walo ko khushkhabri sunata hai aur uske padosiyo mein se jin ko is qism ka koi tohfa na mila ho woh gumgeen hote hai."
[¤ TABRANI - Al MAUJAMUL AWSAT, jild 7]
▶ ESALE SAWAB MEIN KISI KHANE YA PEENE KI CHEEZ KO SAAMNE RAKH KAR QURAN KI AYAT PADHNA.
¤ QURAN :
SURAH AN'AM, AYAT NO 118-119
"SO TUM USSE KHAYA KARO JIS PAR ALLAH KA NAAM LIYA GAYA HO. AGAR TUM USKI AYATO PAR IMAAN RAKHNE WALE HO. AUR TUMHE KYA HO GAYA KI TUM US SE NAHI KHATE JIN PAR ALLAH KA NAAM LIYA GAYA HO."
"Tum ko muzdaa naar ka ae dushman'ane ahle bait,
Yun kaha kar teh h SUNNI dastane ahle bait."

No comments:

Post a Comment

Total Pageviews